Mann Kasturi Lyrics
aant na paaya meetha paani
aant na paaya meetha paani
aur chhaur ki doori re
mann kasturi re, jag dasturi re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat hui na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat hui na poori re
khoje apni gandh na paave
chaadar ka pai-bandh na paave
khoje apni gandh na paave
chaadar ka pai-bandh na paave
bikhre bikhre chhandh sa tehle
dohon mein ye bandh na paave
naache hoke firki lattu o
naache hoke firki lattu, khoje apni dhuri re
mann kasturi re, jag dasturi re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat hui na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat hui na poori re
ho umar ki ginti haath na aai
purkhon ne ye baat bataai
ulta karke dekh sake to
ambar bhi hai gehri khaai
rekhaaon ke paar nazar ko
jisne fenka andhe mann se
satrangi bazaar ka khola
darwaza bin zor jatan ke
phir toh jhooma bawla hoke
phir toh jhooma bawla hoke, sar pe daal phituri re
mann kasturi re, jag dasturi re, baat hui na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re, baat hui na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re, baat hui na poori re
mann kasturi re, jag dasturi re
baat hui na, baat hui na, baat hui na poori re
paaya meetha paani, baat hui na poori re